रविवार, 20 जून 2010

Zahar !!

Mujhe hai jeene ke liye Zahar ki jaroorat.
Suna hai ye jaan bhi leti hai...
Ae mata, tere bhi dekhe hai roop anek,
Kabhi Stanpan to kabhi vanvaas bhi deti hai..

Varsha ki aans mein dekhe hai aansoo kisaan ke,
kabhi amrit jal to kabhi badh ka vinaash bhi deti hai..
hai jeene ke liye sabhi ko rishton ki jaroorat,
to kabhi wo bediyon se baandh bhi deti hai..

yuvti ke prem ne kabhi bhavsagar paar lagaya hai,
kabhi ye anya rishton ko bigaad bhi deti hai..
parai stri ne sadiyon se tode hai anek ghar,
wahaan se bas maatam ki chitkar sunai deti hai..

vigyan ki madad se chaand par pahuch rahe hai insaan,
par indhan ki maar se pryavaran ki dahad nikal parti hai..
adhunikta ki chamak se chamchama rahe hai anek shehar,
kahin do waqt ki roti bhi naa jugaad parti hai..

paschatya sabhyta ka andhanukaran kar raha hai saara sansar,
apni sanskrity ki khankar naa sunai deti hai..
ishwar ke shreshth sristy kehne waalo o insaan,
vartaman parivesh mein chachhu tumhare deedar ko taras jaati hai..

atah zahar se to bach jaoge , hey manusya,
apne andar ke vish se kab tak bach paoge..
tum apna, apne parivesh aur samaj ka hi nahi,
sampurna sristy ka vinaash kar hi jaoge...

Anand Shekhar..